Aadmi Chutiya Hai Lyrics in English

Aadmi Chutiya Hai Song is sung by Rahgir with music composed by Rahgir and lyrics written by himself.

Aadmi Chutiya Hai Lyrics in English

Phoolon ki laashon men taazgee chahta hai,
Aadmi Chutiya hai, Kuch bhi chahta hai.
Zinda hai to aasmaan men udne ki zid hai,
Mar jaaye to sadne ko zameen chahta hai.
Aadmi Chutiya hai, Kuch bhi chahta hai.

Kaat ke saare jhaad waad, makaan bana liya khet men,
Cement bichha kar zameen sajaa di, maar ke keede ret men.
Lagaa ke parde charon aur, qaid hai chaar deewari men.
Mitti ko chhoone nahin deta, mast hai kisi khumaari men.
Aur wo hi aadmi..
Apne ghar ke aage nadi chahta hai.
Aadmi chutiya hai, Kuch bhi chahta hai.

Taang ke basta, utha ke tambu, jaaye door pahadon men,
wahan bhi DJ daaru masti, chaahe shahar ujaadon men,
fir shahar bulaaye usko to jaata hai chhod tabaahi peeche,
kudrat ko kar daagdaar sa, chhod ke apni syaahi peeche,
aur wahi aadmi wapas jakar,
fir se wahi hariyaali chahta hai..
Aadmi chutiya hai, kuch bhi chahta hai.

Phoolon ki laashon men taazgee chahta hai,
Aadmi Chutiya hai, Kuch bhi chahta hai.
Zinda hai to aasmaan men udne ki zid hai,
Mar jaaye to sadne ko zameen chahta hai.
Aadmi Chutiya hai, Kuch bhi chahta hai.

Song Video

Share this on:

Leave a comment